Aap jo symptoms describe kar rahe hain, unke base pe hemorrhoids ya anal fissures ka samasya lag sakta hai, jo kaafi common hote hain aur aise discomfort aur bleeding cause kar sakte hain. Aap ne bataya ki aap fiber aur paani ka intake maintain kar rahe hain aur isabgol bhi lete hain, jo constipation ko manage karne ke liye sahi hai. Lekin, agar aapko problem der se chale aa raha hai, to kuch aur steps consider karna zaroori hai. Pehli cheez, agar aap stool hard hone ka problem face kar rahe hain, toh over-the-counter stool softeners le sakte hain, jo stool ko gentle rakhega aur distress kam karega. Warm sitz baths bhi helpful ho sakte hain, ye area ki blood circulation improve karte hain aur pain aur itchiness ko reduce karte hain.
Aap ke case me, combiation of symptoms ko consider karte hue physical examination karna zaroori hai, kyunki only medications ke through bina thorough evaluation ke accurate treatment possible nahi hai. Kya aapka condition kabhi worse hota hai ya bleeding increase hoti hai? Ye bhi yeh indicate kar sakti hain ke medical advice lena prior hai aur ho sakta hai ki aapko specialist, like a gastroenterologist ya proctologist, ke consultation ki zarurat ho.
Traditional medicine ke treatment plan ke sath homeopathy le rahe hain, ye choice aapki hai, magar ensure kare ki dono treatments escalsation major side effects cause nahi kar rahe. Abhi ke liye, continuous blood loss detect karna aur rule out karna jaroori hai, isliye aapko yeh advice diya ja raha hai ki aap doctor ka appointment jald se jald fix karein. Ye chronic problem agar time par treat nahi hui toh aur complications create kar sakti hai, jaise prolapse aur anemia, jo unhe complicated banata hai.
5–6 महीने से टॉयलेट के समय दर्द और कभी-कभी fresh blood आना ज़्यादातर piles (बवासीर) या anal fissure की वजह से होता है, खासकर जब stool hard होता है।
चूँकि समस्या बार-बार हो रही है और 5 महीने से दवा लेने पर भी पूरी तरह ठीक नहीं हुई, सिर्फ दवा से घर पर मैनेज करना काफी नहीं है — physical examination (proctoscopy) ज़रूरी है ताकि सही कारण कन्फर्म हो सके।
कृपया एक General Surgeon या Proctologist से मिलें; वे जरूरत हो तो सही ointment, stool softener या अन्य उपचार देंगे — और ज़्यादातर मामलों में सर्जरी की ज़रूरत नहीं पड़ती, लेकिन सही जांच बहुत महत्वपूर्ण है।
Hello
5–6 mahine se dard ke saath fresh blood aana usually chronic fissure ya piles hota hai. Aap fiber, pani aur isabgol le rahe ho, phir bhi repeat ho raha hai — iska matlab problem purani ho chuki hai.
Is stage par physical examination (proctoscopy) zaroori hota hai.
Kabhi-kabhi topical medicines, ointments ya short procedure ki zarurat padti hai. Delay karne se problem aur chronic ho sakti hai.
Kripya turant kisi surgeon ya proctologist se personal taur par salah lein.
Thank you Take care
Hello Aapke symptoms—bathroom ke time dard, kabhi hard stool, aur fresh blood—zyadatar piles (bawasir) ya fissure (chhed) ki taraf ishara karte hain. Isabgol, fiber, aur paani lena sahi hai, lekin agar 5–6 mahine se problem bar-bar aa rahi hai aur homeopathy se poori tarah relief nahi mil raha, toh physical check-up zaroori hai.
Kuch cases mein dawa se theek ho sakta hai, lekin agar fissure ya piles chronic ho jaye, toh doctor ko dikhana important hai. Physical examination se doctor confirm kar sakte hain ki fissure hai, piles hai, ya dono, aur severity kya hai. Iske baad hi sahi treatment decide hota hai—kabhi-kabhi local ointment, kabhi lifestyle changes, aur kabhi procedure ki zarurat pad sakti hai.
Piles ya fissure ke liye diet bahut important hai. Aapko aisi cheezein khani chahiye jo stool ko soft rakhe aur constipation na ho. Yahan kuch simple diet tips hain: - Fiber-rich foods: Har din sabzi, salad, fruits (jaise papita, seb, nashpati, anar), whole grains (daliya, oats, brown bread) khayein. - Pani: Din bhar mein kam se kam 2–3 litre paani piyen. - Avoid spicy & oily food: Bahut teekha, tel wala khana, processed food, aur junk food kam karein. - Dahi/curd: Dahi ya chaach le sakte hain, gut health ke liye accha hai. - Dry fruits: Badaam, akhrot, anjeer (figs) bhi madadgar hain, lekin zyada mat khayein. - Choti meals: Din mein 4–5 choti meals lein, ek saath bahut zyada na khayein. - Avoid constipation triggers: Chai, coffee, cold drinks, aur alcohol kam karein.
Aap already fiber aur paani le rahe hain, toh focus karein ki har meal mein kuch na kuch fiber ho. Agar phir bhi stool hard ho raha hai, toh fruits jaise papita, tarbooz, ya nariyal paani try karein.
Aapko ab ek general surgeon ya proctologist ko milna chahiye. Agar bleeding zyada ho, dard bahut ho, ya lump badh raha ho, toh jaldi consult karein. Agar diet follow karne ke baad bhi problem rahe, toh doctor se milna zaroori hai.
Thank you
this problem most likely suggests chronic piles (hemorrhoids) or an anal fissure, especially because you have pain during bowel movements, hard stools, and fresh red blood. Fresh blood with stool usually comes from the lower anal area and is commonly seen in fissures or piles. Since this has been continuing for 5–6 months and keeps recurring despite fiber, water, Isabgol, and homeopathy, it indicates that the issue is not fully healed and needs proper medical evaluation.
Mild pain with bleeding that repeats for months usually means there may be a small tear (fissure) or swollen veins (internal/external piles) that are not resolving completely. Medicines alone sometimes help early cases, but chronic cases often require physical examination and sometimes prescription ointments, stool softeners, or minor procedures. Homeopathy alone may not be enough.
You should consult a general surgeon or proctologist for a physical check-up (per rectal exam/proctoscopy).
Hello Aapke masse ki dikkt h Usg krvo CBC Protoscopy Karvo M jo dawa bta ra hu vo lena Tab daflon 400mg din m 2 bar Syrup duplac 20 ml before sleep Cream xylociane jelly before and after fresh hone k Tab pantop Dsr khali pet Lukewarm water Thanks ghabrana ni h thek hone vali bimari h Thank u
Hello, thank you for sharing your concern. Aapki situation mai physical check zaroori hai. Meri salah hai ki ek Physician and General Surgeon se consult karein. Physician aapke constipation issues treat karenge aur Surgeon aapke piles.
Feel free to reach out again.
Regards, Dr. Nirav Jain MBBS, D.Fam.Medicine
